Love shayaris
Love shayaris
Kuchh sochu toh tera khyaal aa jata hai....
Kuch bolu toh tera naam aa jata hai....
Kab tak chupaun dil ki baat....
Teri har ada par mujhe pyaar aa jata hai....
Aankhon ne jisse chaha usse apne aanchal mei chupa liya....
Dil ne jisse chaha usse apni palkon pe bitha liya....
Fir kyu lagta hai itna akela sa....
Tune jo kaha humne toh voh bina soche hi apna liya....
Jaise chidiyan gaati hai pyaar ke geet....
Jaise pedh barsate hai pyaar ke fool....
Vaise hi pal pal teri yaad stati hai mujhe....
Dil ne bhi toh har pal yhi aehsaas dilaya hai tujhe....
Aankhon ne kabhi dekha nahi jisse....
Hathon ne kabhi chhua nahi jisse....
Magar dil ne mehsoos kar liya usse....
Uski yaadon ne shayar bna diya mujhe....
Pehli baar dil ka khula ye darwaza....
Koi gungunane lga mere khyaalon mei....
Pehli baar jeene ka aaya aisa mzaa....
Jaise Rab ne bnaya tujhe sirf mere liye....
Najane kab aaya vo meri zindagi mei....
Najane kab thama usne mera hath apne hathon mei....
Najane kaise bna li usne apni jagah mere dil mei....
Rab jaane kab badla ye khwaab ek hakikat mei....
Dil ne har pal poocha, kya hota hai silsila pyaar ka....
Dimaag ne har pal kaha, hota hai ye bas ek khwab mann ka....
Aankhon ne har pal chaha, kaash mai bhi dekh sku iss khwab ko....
Aur aaj Rab ne pura kar diya mere iss armaan ko....
Mere dil, mere dimaag, meri aankhon ko chura liya hai usne....
Mere din ka chain, meri raaton ki neend ko udha liya hai usne....
Akele mei hi hasne muskurane lagi hu ab mai....
Zindagi ke inn do palon ko har pal jeene lagi hu ab mai....
Tere naam ye zindagi kar chuki hu ab mai....
Ek baar haath thamke toh dekho....
Tere har dukh ko apna bna chuki hu ab mai....
Ek baar mujhe apna bnakar toh dekho....
Chahe jitne utav chadav aaye iss zindagi mei....
Ek baar khud ko mujhe sompkar toh dekho....
Kasam hai mujhe tere pyaar ki....
Chaho toh ek baar azmakr dekh lo....









Comments
Post a Comment